High-Tech, High-Touch For Your Higher Education
Namabar qabal-e-itbar nahain raha
Nama'bar ki hamaisha bari motabar aur mohtaram haisiat rahi hai. Ghami khushi ki khbrain ponchanay main es ki kar'gozari par itbaar kiya jata raha hai. Es ki eman'dari, gher janib'dari, fariqain say mota'alaq ho kar bhi gher mota'alaq honay par kabhi shuba nahain kiya giya. Sab kuch jantay howay bhi yah qiyas kiya jata raha hai kah nama'bar kuch nahain janta. Os ki aankhain band sama'at na'paiad, goyae mafqoud. Kahein kahein essay raazdan banay main koe harj khayaal nahain kiya giya. Jahaan es ki zaat motnaziya hoti hai wahan essay dashnam kiya giya hai aur nama'bari kay mansab say alag kar diya giya hai.
Rasmi, omomi, waqti, sarsari, hangami ya kisi bhi noeat ka khat ho ya os main hira hi kayoun na malfouf ho, nama'bar ki niat nahain balti aur na hi baad diyanti ka shakar hota hai. Ossay khat bhaijnay walay say apni khidmat ka evzana laina hota hai aur es say ziyada ki talab ya towaqo nahain karta. Apni marzi say khat wasoul karnay wala inam akram ata kar day to alg baat hai.
Essi hawala say dak'khana jaat ko qadr ki nigah say daikha jata raha hai. Hamaisha say es ko bara masoum aur bhola bhala mehakma mana giya hai. Aaj surat-e-haal tabdeel ho gae hai. Es par itmaad ya raaz'dani kay qabil samjhnay wala khasaray main rehta hai. Yahhi waja hai kah aaj log Niji Adaroun ki taraf rajo karnay par majbour ho gay hain. Goya daftari gher'mamoli kharabi ki waja say na'seraf moashi hawala say es ko noqsan howa hai bal'kah itbar kho janay kay sabab es ka itabar aur waqar barbad ho raha hai.
Apnay moaqaf kay liay eak misal darj kar raha houn. Mein nay kuch saman wazi 3 kilo 890 garam apnay baitay, baho aur poti ko austrailiya es nama'bar kay hath Regd. daak No. CB001705037pk moarkha june 10, 2010 ko bajwaya. Maira yah parsel june 22, 2010 ko eak chit, jis par darj tha Return to senderwapis aa giya. Mujh par gham aur khushi ki kafiatain tari ho gaein. Gham es liay kay parsel ki tarseel kay liay Re. 2685 ada kiay gay thay, barbaad ho ga'ay. Khushi es baat ki hoe kah Allah ka lakh lakh shukar hai kah wo parsel mairay bachoun tak na poncha agar ponch jata to mairi pozishan bari hi kharab hoti. Wapis mosula pasel main say poranay landay kay kapray aur bantioun, salantioun golioun waghera kay khali kawar daikhnay ko milay.
Es na'humwari ki shakaet SPM Kasur ko ki gae. Oonhoun nay mairi tehriri shakaet moarkha july 27, 2010 ko Div. Supdt lahore ko bajwa di. Mosouf ki ghalibun moashi aur niji masrofiat kay sabab mairi darkhast kho khatay par gae. Mein nay mowarka may13, 2011 ko PMG, Punjab ki khidmat main darkhast gozari jo onhoun nay mowarkha may19, 2011 letter No. Inv/N212/2011 kay tehat Div. Supdt. lahore div. lahore ko bajwa di.
Mujhy gehri khamoshi kay siwa kuch nahain mila. Ghalibun wo sochtay houn ga darkhast'dahinda kahaan tak darkhatain gozaray ga Aakhir thak haar kar chup ho ja'ay ga. Oon ki yah dagar ghalt sahi likin mojoda daftari system bachanay kay hawala say kamyaab zarour hai.
Tags:
© 2025 Created by John Santiago. Powered by