Hum jis ehhad say gozar rahay hain wo angraiz aur os ki zoban angraizi ka hai. Angraiz kay chailay chamtoon aur gamashtoon nay yah ta'asar aam kar diya hai kah angraizi zoban kay bagher taraqi karna mumkin hi nahain. Natija'kar pehli jamat say angraizi ki taleem ka silsala shuro ho giya hai. Taqribun 1835 say bar-e-sagher angraizi gozida hai aur yahaan kay basi jo baray zabardat yohdha jafa'kash mehnati aur honar'mand hain, intahae koshesh kay bavajood es qilay ko fata nahain kar pa'ay. Ab eak hi surat nazar aati hai kah joon'hi bacha paida ho ossay amrika kay kisi nursing house main bhajwa diya ja'ay takah woh wahaan na'seraf angraizi sikh sakay balkah os kalcar ko bhi apna sakay. Halaat to yah batatay hain kah aatay barsoon main:
1- Bhook kay sabab bachoon ko paida hotay mar diya ja'ay ga.
2- Log bhook piyas andhairay dehshat jabr waghera kay khoof say khud'kushi karnay
par majboor ho jaein gay.
3- kamzoor taboon kay bachay taleem ka khaab daikhna bhi gonah samjain gay aur
aaqaoon ki zaminoon aur kar'khanoon par kaam kain gay. Ghaliban yahhi aaqaoon
ki tamana aur marzi hai kah kama'ay gi dunyaan khaein gay hum.
4- Chori dakay mar dhaar aur haira phairi aisay paishoon say wabasta ho jaein gay.
Amli sata par daikh lain das saal parhnay aur saray mazamein main kamyabi hasal karnay kay bavajood angraizi main fail ho janay kay sabab talib-e-ilm taleem'yafta logoon ki saf main dakhal nahain ho pata. Chori ko qanoon jurm qarar daita hai likin talib-e-ilm kiya os kay walaidain aqarib aur sar'parast hazraat bhi choor darwazay par dastak daitay hain. Naqal roknay ki surat main bacha un'parh rehta hai aur os kay das saal aur dusray saray mazamein main kamyabi gharat ho kar reh jati hai. Naqal roknay ki taraf tovajo di jati hai aur naqal bhi angraizi kay parchay walay din hoti hai jab'kah baqi din samooth chaltay hain. Hazaar (1000) bookay pani kay nikal lainay say pani pak aur saaf nahain ho sakta jab'tak kotta khu say na nikala ja'ay ga. Sochnay ki baat to yah hai kah jo angraizi parhatay hain oon ko angraizi aati hai?! Sara kaam to gaedoon kay saharay chal raha hai.
Sada badshi Allah Sahib ki hai bar-e-sagher main bhant bhant kay log aatay rahay tab bhi yahi kaha jata tha kah hakam ki zoban kay bagher taraqi nahain ho sakay gi. Wo chalay gay oon ka door khatam ho giya. tarjihaat main her bar tabdli hoti rahi. Sabqa jabr kay sabab yahaan kay logoon par taraqi kay darwazay band rahay. Taraqi gher mulki kakam kay gamashtoon had'haramoon, auroon ki kamae par mooj karnay waloon aur moqa parastoon nay ki hai. Woh auroon ki nisbat aasmani makhlooq rahay. Oon kay gharoon aur daftroon main kabhi andhaira nahain howa. Ohain aish kay sab moqay mayasar aa'ay. Mehnat'karoon aur kamoon ka hissa main mayosi bai'basi' bai'kasi, bai'chargi aur tangi sakhti aae.
Waqt badal raha hai. aatay kal ko angraizi kay sath bhi wohi ho ga jo pehli hakam zobanoon kay sath howa. Jis tara aaj yaah koe arbi ya farsi nahain bolta ya likhta bilkul issi tara angraizi bhi ga'ay waqtoon ka afsana ho gi. Khuda kay liay talba ko apni zoban main sochnay parhnay aur likhnay ka moqa dijiay. Yah qoom bari zahein aur mehnati hai, dinoon main taraqi karay gi. Kisi gher zoban main wo bhi apnay molak main rehtay howay socha nahain ja sakta. mein kisi zoban say boghaz nahain rakhta. Zoban koe bhi ho wo to mehz izhaar ka zariya hai es kay siwa kuch bhi nahain. Zoban to insani khayalaat ehsasaat aur mashahidaat kay izhaar kay liay shakas ki ongli pakarti hai. Yahaan olta moamla chalta aa raha hai, shakas ko zoban ki ongli pakarna parti hai.
Ab mein angraizi ki batoor namona eak doo funni khamioon ki taraf aata hoon aur mein es hawala say her kisi say goftagu karnay ki pozishan main hoon:
1- Angraizi ki ibtadae aawazain izhaar kay hawala say na'kafi hain.
2- Nahaet ahum aawazain chay aur sheen es main mojood nahain hain.
3- Marakab aawazoon ka nazaam kamzoor, dohra, naqas aur pachida hai.
Ab zimun numbar 3 kay hawala say chand misalain bhi malahza farma lain:
sheen kay liay das ya das say ziyada marakab aawazain estamal main aati hain jab'kah yah marakab aawazain dosri jaga koe aur aawaz daiti hain. sheen kay hawala say misalain malahza hoon:
1- ch cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
2- ce croce
3- ci facial precious, special, social, ancient, apperciate, chicago
4- sh shift, sheet, shirt, shawal, shrink, ship, shop, shade, shelve
5- si asia, malaysia, tesion, demension, inpulsion
6- ti action, mention, residentional, confidentional
essential potential
ititial, admition
7- ssi mission, permission, discussion, procession, session
8- ssu issue, assure, pressure
9- su sugar, sure, insurance
10- sch schedule, schizophrenia
Chay kay liay tu ya ch marakab aawazain estamal main aati hain:
tu (chay/chu) picture (pikcher), nature (nacher), mixture (mixcher),
actual (akchal), punctual (punkchual), habitual (habichual),
torture (torcher) attitude (attichud), culture (kachar), vertual (virchual)
fortunate (forchunate), future (fuchar)
likin her jaga tu ki yah surat barqarar nahain. maslan: tuseday (teozday)
ch ko bhi chay ki aawaz kay liay estamal kartay hain. maslan:
chest, cheat, chit, cheep waghera
ch marakab khay ki aawaz bhi daita hai: boch, munich waghera
sheen ki aawaz bhi daita hai:
cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism waghera
kaaf ki aawaz bhi daita hai:
school, chemical, chemist, chasm, chem waghera
Kaaf kay liay teen ya teen say ziyada marakabaat ka estamal hota hai. maslan
k work, kit, skin, neck, skull, pink, kid
c crown, cold, calf, cough, cramp, cave, cook, cock
city, civil waghera main seen (s) ki aawaz daita hai. K aur s ki mojodgi main c
kay honay ka koe jawaz nahain banta.
social, facial precious, special, social, ancient waghera main i kay milan say sheen
ki aawaz paida karta hai
ch school, chemical, chemist, chasm, chem
sheen cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
chay child, chest, cheat, chary (che re), chaser (cha sor)istry
khay munck, boch
Bawar rahay sheen, chay aur khay aawazain angraizi main mojood nahain hai. K ki mojodgi main ch
kay honay ka koe jawaz nahain banta. Gharaz aisi bisioon aawazoon kay hawala say khamiaan mojood hain jin kay sabab yah kehna kisi tara thek nahain kah angraizi bari ala zoban hai aur es kay bagher taraqi karna mumkin hi nahain.