Freedom University

High-Tech, High-Touch For Your Higher Education

Angraizi aaj aur aata kal

Es main koee shak nahan kah Angraizi es waqt dunyaan ki hakam zoban hai aur bala tabqay kay saray kaam essi kay hawala say teh patay hain. Yah mojouda ehad ki baat hai likin yah fakhar-o-iftakhar seraf angraizi say hi mukhsous nahain. Her hakam zoban ko yah fazilat hasal ho jati hai. Choun’kah hakam zoban kay boul chal ka halqa pehlay say wasi'tar ho jata hai es liay es ka daman bhi pehlay ki nisbat bhar jata hai. Essay aisay mukhsous loug, jin ki kah woh zoban nahain rahi hoti aur nahi woh oon ki zati zoban kay darjay par faez ho pati hai, ka sath mayassar aa jata hai. Bahmi hawala say bhi woh oon ki zoban nahain ban pati. Goya oon ka daerah awal ta aakhar ajnabi aur mehdoud hi rehta hai. Jab hakam zoban kisi gher ki rabtay ki zoban banti hai to ossay os ki zarorat mazaj halaat aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq kay motabaq chalna parta hai basurat-e-degar rabtay bahal nahain reh patay. Yah os ki majbori hoti hai jisay os ko her hal main nibhana hota hai. Nahain to boli aur zoban ka faraq paida ho jata hai. Es feal say kuch batain waqo main aati hain:

Gher ki zoban assar’andaz hoti hai

Gher ki zoban bhi assar laiti hai

Gher ka lab-o-lehjah ikhtayar karnay ki koshesh karti hai

Nahvi set up main tabdeli aati hai ya apnay nahvi set up kay motabaq dhalnay ki koshesh karti hai

Alfaz kay mafaheem main tabdili aati hai

Na’ay marakbaat tarkeeb-o-tashkeel patay hain

Naee estalahaat janum laiti hain

Zoban ka mazaj, jo os say mukhsus hota hai main tabdeli aati hai

Agar woh naee zoban ka sath nahain daiti to hakam aur mahkoom kay darmiyan rabt-o-ithad main na’kam rehti hai. Jis kay natijah main khoun’raizi khatam nahain ho pati. Ghalt’fehmiaan bharti chali jati hain. Aaj dunyaan main qatal-o-gharat ka bazar kayoun garam hai?! Es ka bunyadi sabab Angrazi hi hai jisay eak arsa guzar janay kay ba’vajoud os ki lisani khamioun ki wajah say qaboul nahain kiya ja saka. Angraizi awami sata par apna moqam nahain bana saki aur na'hi kabhi apnay naqas lisani set up kay sabab bana sakay gi. Zarorat’mand essay majbori samjh kar apnanay ki na’kaam koshesh kar raha hai. Essay azafi aur thopa howa bojh samjha ja raha hai.

Arbi , aur Farsi bhi arsa daraz tak hakam zobanain rahi hain likin inhain kabhi azafi bojh nahain samjha giya. In kay un’gint alfaz mashraqi zobanoun main kisi na'kisi roop main sadyuon say mojoud chalay aatay hain. Yah donoun zobanain auroun kay liay gher thein. Es kay ba’vajoud in kay asraat un’mit rahay hain. En kay khalaaf nafrat kabhi bhi parwan nahain chari. Jo loug yah samjhtay hain kah aatay waqtoun main Angraizi kura-e-arz ki zoban ho gi, intahae ghalt fehmi main mubtala hain kayoun’kah lisani hawala say yah donyaan ki kamzour tarein aur eak mukhsous saliqay aur alaqay ki zoban hai. Es ka khurdara aur akhara lehja aur aryal mazaj-o-rujhan hi es ki taraqi ki rah main aray aa raha hai. Es nay gheroun kay haan apna koee moqam nahain banaya. Yah gheroun kay (awami sata par) aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq mahoul, halaat, tagheraat, zaroriyaat, mosamoun, shakhsi rujhanaat, moashi aur masharti zaroratoun aur kheta say mota'alaq zaroratoun ka sath dainay say qasar rahi hai.

Angraizi logoun ki taraqi ki rah main koh hamaliya say bhar kar rakawat sabat ho rahi hai. Logoun ki sari tawanaee essay sikhnay main saraf ho rahi hai. Es tara woh mazeed kuch kar nahain pa rahay. Awami ta’asar yahhi hai kah yah chamchoun karchoun mafad parast aur khud gharaz (gher angraizi jo awan par thonpy aur masalt kiay gay thain) ki zoban hai. Yah tabqay barabar Angraiz ko bala'tar bawar karanay ki koshesh main hain kah essay qabool kar liya giya hai halan’kah amli toor par qatae aisa nahain hai. Yah bhi zahar kiya ja raha kah hum logoon kay namaenda hain jab’kah yah seray say jhot hai. Dusri taraf Angraizi dushmani main, awami sata par azafa hota chala ja raha hai jo eak rouz Angraiz aur os kay hawarioun ko baha kar lay ja’ay gi.

Hindustani (Hindi aur Urdu) hi es waqt dunyaan ki wahad zoban hai jo kura-e-arz ki zoban bannay kay johar rakhti hai. Yah koee naee zoban nahain hazaroon saal porani zoban hai. Es waqt es kay tein rasm-ul-khat raej hain:

Arbi (Nastaleeq)

Dev Nagri

Roman

Dunyaan ki koee zoban (Punjabi kay siwa) aisi nahain jis kay tein rasm-ul-khat houn, jo aaj os kay apnay houn aur rabtay ka zareya bhi houn. Mazay ki baat yah kah yah tenoun es kay apnay nahain pher bhi kisi Hindustani ko ajnabi mehsus nahain hotay.

Angraizi ko sarkari sar’parasti hasal hai es kay ba’vajoud karkardgi main 2.7 % say aagay nahain bhar saki. Mein baray wasouq say kehta houn yah es tanasab say zeyadah kabhi bhi aagay nahain bhar pa’ay gi. Hindustani es waqt dunyaan ki dusri bari zoban hai. Dunyaan ki dusri bari aabadi essay samjhti hai aur boul bhi sakti hai.

Angraizi kura-e-arz ki zoban ho gi, kay liay yah daleel qataee boda hai kah es main science aur tecnology say mota'alaq estalahaat mojoud hain. Jab angraizi zoban hakam nahain thi:

Angraizi estalahaat raej thein ya science aur tecnology say motalaq estalahaat mojoud hi na thein?

Kiya angraizi estalahaat angraizi ki apni zati yah mangay tangay ki hain aur asal talafaz kay sath mostamal hain?

Es zoban kay hawala say yah bhi kaha ja raha hai kah es main tamam aham kutab tarjamah ho choki hain. Angraizi kay kura-e-arz ki zoban bannay kay hawala say shaed hi koee ahmaqa daleel/baat ho. Es zeman main Hindustani say shaed hi koee zoban ziyada amir ho. Es main lafz apnanay, gharnay na'ay maeni dainay aur alfaz ki ashkaal tabdeel karni ki donya ki dosri zobanoun say bhar kar sakti hai.

Kaha jata hai kah aloum ka azafa seraf angraizi main ho raha hai.

Yah koee karnay aur kehnay ki baat hai?!

Jis zoban ko vasael aur tovajo dou gay taraqi karay gi. Yah bharam subh honay kay baad khatam ho ja’ay ga. jab tak angraizi hakam hai yah nara boland hota rahay ga. Joun’hi dunya ki koee dusri qoum arouj par ho gi os waqt yah'hi kuch os kay motalaq kaha ja’ay ga.

Hindustani

main koun say aloum nahain hain?! yah to apnay khadmat’gozaroun kay hawala say taraqi ki manazal teh karti aaee hai aur taraqi karti rahay gi.

Eak daleel yah bhi di jati hai kah tajarat es say wabasta hai. Es daleel say ziyadah kamzour daleel koun se ho gi. Tajarat:

Talab aur wafar paidawar say wabastah hai

Hindustani bolnay waloon ki tadaad dunyaan ki dusri bari aabadi hai es liay in say tajarat auroun ki majbori hai. En say talaq nata tour kar to daikhain tajar bhokay mar jaein gay.

3- Kiya gozray kal main tajarti aloum angraizi say liay jatay thay

Dharay mortay dair nahain lagti.

Kaha jata hai kah hum apna asal angraizi kay bagher talash nahain kar saktay. Bawar rehna chahiay dunya ki her zoban ka apna nazam aur zakhera-e-alfaz hota hai aur woh angraizi ki marhon-e-mint nahain. Dunya ki zobanain apnay zati hawalah say aagay bharti aaee hain. Hindustani ki apni tarekh hai. Her hindustani apna asal essi main talash sakta hai. Koee zoban seraf angraizi kay saharay nahain chal sakti. Aisa hona na’mumkinaat main hai. Baray itmad say kaha ja sakta hai kah Angraizi kisi zoban ka makhaz nahain lihaza es qisam ki baat koee maniviat nahain rakhti. Samjh main nahain aata angraizi parast kis natay es qesam ki ahmqana batain kartay hain.

Angraizi dosri zobanoun ki tara izhar ka mehz eak wasela hai. Es main bhi dosri zobanoun ki tara donya ki zobanoun kay es kay lisani mazaj kay motabiq un’gint al;faz mojood hain. Agar yah nikal liay jaein to yah tahi’dast ho ja’ay gi.

Kaha jata hai zoban adab kay saharay zindah nahain reh sakti. Zoban say adab nikal dain zoban zinda na reh sakay gi. Adab:

Alfaz, jo izhar ka zariya hain mayassar karta hai

Tarkibaat mohaya karta hai

Azhar main vosat paidah karta hai

Saliqah aur sha’our farahum karta hai

Samaji rovaeay tarkeeb daita hai

Qomoon kay tashakhas jo oon say mukhsous hota hai ki hifazat kata hai

Yah gozray kal ki aatay kal kay liay hifazat karta hai

Her zoban adab kay bal botay par apna vajoud barqarar rakhti hai

Adab samaj-o-moashrat ki baqa ka zaman hai

Yah rujhanaat aur rovaeoun ko janam day kar zindgi ko agay bharhata hai

Adab zindgi hai zindgi nahain to kuch bhi nahain

Adad na ho to zindgi mehz mashinoun ka shoor ho kar reh ja’ay

Kaha jata hai ashati adaray Urdu tehriroun ki hosla afzaee nahain kartay. Bawar rehna chahiay es qesam kay adaroun kay malik tajar hain onhain khidmat say ziyadah raqam say gharaz hoti hai. Woh mojoda rujhan kay motabaq kaam kartay hain aur mojoda rujhan ka hi sath dain gay. Urdu’koshi kay ba’vajoud bohat saray rasael jaraed akhbaraat aur her tara ki kitabain bazar main dasyaab hain. agar hoslah afzaee nahain hoti to yah sara mowad kahan say aa giya hai.

Mazay ki baat yah hai kah angraizi kay hami Hindudtani main angraizi ki hamaet kartay hain.

Angraizi kay ziman main jo dalael diay jatay hain oon say qataee tour par yah wazay nahain hota kah aatay kal ko Angraizi kura-e-araz ki zoban ho gi.

Views: 51

Reply to This

Badge

Loading…

Events

© 2025   Created by John Santiago.   Powered by

Badges  |  Report an Issue  |  Terms of Service